wo jis se pyar main diwana-war karta raha wo pith pichhe mere mujh pe war karta raha jo shakhs bandagi-e-kirdgar karta raha wo khud ko dahr mein yun zi-waqar karta raha ajib shakhs tha wo jab talak raha zinda khizan ki rut mein bhi jashn-e-bahaar karta raha husul jis ka meri dastaras se bahar tha usi ki chah mein dil be-qarar karta raha ye meri jaan hai qurban us ghazal-khwan par faraaz-e-dar pe jo zikr-e-yar karta raha khayal kya hai tumhaara hamare bare mein sawal mujh se koi bar bar karta raha kisi ne us ko bithaya nahin sawari par musafiron ko jo banda sawar karta raha dayar-e-ghair mein rah kar bhi tujh ko khak-e-watan hamesha yaad dil-e-khaksar karta raha nasihaton ki jise khud bahut zarurat thi wo dusron ko nasihat hazar karta raha meri nigah mein manzil thi roz-e-awwal se so zabt-e-gardish-e-lail-o-nahaar karta raha kisi ka mujh se ye kahna bhala laga mujh ko kahan tha tu main tera intizar karta raha isi pe barish-e-neamat mudam hoti rahi jo shukr-e-neamat-e-parwardigar karta raha jo shahr bhar mein na tha e'tibar ke qabil ye dal us pe hi kyon e'tibar karta raha use ghamand tha apne amir hone par so mere samne dollar shumar karta raha nikharta jaega fan bazm-e-istiara ka jo 'nuri' chashm-e-karam shahryar karta raha