hain manazir sab baham-parda nazar baqi nahin samne manzil hai lekin rahguzar baqi nahin shairi jis ne chhudae the jahan ke karobar ab takalluf bartaraf is mein hunar baqi nahin shahr-e-nau mein kyun rahe ab ye shikasta sa makan gar khadi diwar koi hai to dar baqi nahin wo to jadu ka bana tha hae aisa hi na ho laut kar pahunchun to dekhun ab wo ghar baqi nahin mutmain the khush the aur duniya mein bhi masruf the hum to samjhe the ki ab fan ka safar baqi nahin ab ye lazim hai ki is duniya mein jina sikh lun khub par qane rahun jab khub-tar baqi nahin aap sone ka qafas lane ki zahmat mat karen hum wo tair hain ki jin ke baal-o-par baqi nahin