gae dinon ka hawala tha kaam kya deta guzar gaya wo jawab-e-salam kya deta dayar-e-shab se bhi aage mera safar tha bahut so mera sath wo mah-e-tamam kya deta main is kharaba-e-dil ke ujad manzar mein kisi ko dawat-e-sair-o-qayam kya deta jo tu na aata to rang-e-fasurdagi ke siwa meri nigah ko ye husn-e-sham kya deta shikasta-pai pe jab mutmain the rahrawan main qafile ko dua-e-khiram kya deta mujhe khabar hai sarisht-e-sifal mein hai zawal main apne dil ko fareb-e-dawam kya deta main kuza-gar ki dukan par rakha raha ta-umr koi charagh-e-shikasta ke dam kya deta usi se mujh ko mohabbat usi se nafrat bhi main us talluq-e-khatir ko nam kya deta ye shahr ho gaya khali sukhan-shanason se yahan koi mujhe dad-e-kalam kya deta