gae dinon ke darakhshanda rabton se na ruth mere khulus ke tabinda silsilon se na ruth mohabbaton ki wafa-kesh barishon se na ruth kisi se ruth magar apne doston se na ruth khizan ki zard hawaen teri talash mein hain chaman se ruth darakhton ki tahniyon se na ruth palat na jaen hamesha ko tere aangan se gudaz lamhon ki be-khwab aahaton se na ruth aziz jaan khuli khidkiyon ki khushbu ko gali se tark-e-marasim sahi gharon se na ruth guman-o-waham ke be-nam jhutputon se nikal zaban na khol magar dil ki dhadkanon se na ruth jawan ruton ko gale se laga ke ji 'irfan' dil-o-nazar ke ziya-bar mausamon se na ruth