duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siwa yaad main shikwa ba-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad shayad ki mere bhulne wale ne kiya yaad chheda tha jise pahle-pahal teri nazar ne ab tak hai wo ek naghma-e-be-saz-o-sada yaad jab koi hasin hota hai sargarm-e-nawazish us waqt wo kuchh aur bhi aate hain siwa yaad kya jaaniye kya ho gaya arbab-e-junun ko marne ki ada yaad na jine ki ada yaad muddat hui ek hadsa-e-ishq ko lekin ab tak hai tere dil ke dhadakne ki sada yaad han han tujhe kya kaam meri shiddat-e-gham se han han nahin mujh ko tere daman ki hawa yaad main tark-e-rah-o-rasm-e-junun kar hi chuka tha kyun aa gai aise mein teri laghzish-e-pa yaad kya lutf ki main apna pata aap bataun kije koi bhuli hui khas apni ada yaad