yun tujh se dur dur rahun ye saza na de ab aur zinda rahne ki mujh ko dua na de ab ehtiyat-e-shiddat-e-girya na puchhiye darta hun main wo sun ke kahin muskura na de lo main ne dil ki us se lagai to hai magar dar hai ye sham-e-gham kahin daman jala na de kahna to hai mujhe bhi hadis-e-gham-e-hayat lab kholne ki kash ijazat zamana de ho bijliyon ka mujh se jahan par muqabla ya-rab wahin chaman mein mujhe aashiyana de us dene wale ke yahan kis shai ki hai kami tum mangne ki tarah jo mango to kya na de hassas main bahut hun na lag jae dil ko thes mahfil mein muskura ke mujhe yun sada na de main aashna-e-dard-o-gham-e-dil hun chaara-gar jis se ifaqa ho mujhe aisi dawa na de 'ajiz' tamam umr main khata raha fareb mujh ko meri wafaon ka aisa sila na de