gae dinon ki raqabat ko wo bhula na sake sharik-e-bazm the lekin nazar mila na sake azab-e-hijr ke lamhat hum bhula na sake dayar-e-ghair mein ek pal sukun pa na sake bahut baid na tha masalon ka hal hona ana ke panw se zanjir hum hata na sake talluqat mein had-darja ehtiyat rahi qarib aa na sake wo mujhe bhula na sake fareb kha gae tab ja ke inkishaf hua qarib rah ke bhi hum un ko aazma na sake