gae hain des ko hum apne chhod kar bhi nahin muhajrat ke liye shart ab safar bhi nahin isi jahan mein rahte hain khub-ru aise yaqin mujh ko hua us ko dekh kar bhi nahin mere wajud mein ghul-mil ke kar gaya tanha wo ek shakhs jo aaya kabhi nazar bhi nahin wo ek kitab gai thi dilon se taqon par ab aisi dur hui hai ki taq par bhi nahin gham aur khushi nahin mauquf rone hansne par aur in hawalon se izhaar mo'tabar bhi nahin