kaisi mani ki qaba rishton ko pahnai gai ek hi lamhe mein barson ki shanasai gai har dar-o-diwar par bachpan jawani naqsh the kab mere ghar se mere mazi ki darai gai is qadar unchi hui diwar-e-nafrat har taraf aaj har insan se insan ki pazirai gai har naya din dhup ki kirnon se tap kar aae hai jism se thandak gai aaankhon se binai gai ab kahan wo mastiyan sargoshiyan gul-reziyan daman-e-sahra se jo aati thi purwai gai waqt ki saughat hai na hum hain hum na tum ho tum zehn se sochen gain honton se sachchai gai aaj phir hai hukmarani tirgi ki har taraf raushni ek pal ko 'sabir' aai aur aai gai