gae hain jab se wo uth ke yan se hai haal bahar mera bayan se kahe koi itna jaan-e-jaan se milo nahin to gaya mein jaan se jo kuchh guzarta hai mere dil par sunaun kis ko wo hae dilbar khuda kare phir wo din mayassar kahun main apni hi sab zaban se kabhi khafa ho ke baat karna kabhi wo kah kah ke phir mukarna phir ulta bohtan mujh pe dharna ye tarz tum ne liya kahan se kabhi tere gham mein mujh ko rona kabhi phir aaphi hai chupke hona jo yaad aata hai sath sona to raat katti hai kis fughan se ghadi ghadi hijr ki hai bahaari dikhae surat khuda tumhaari sunun wo baaten piyari piyari ajab ada se ajab bayan se tera khafa ho ke ruth jaana wo minnaton se mera manana wo apni apni si kuchh sunana wo baaten bhi aap dil-sitan se ajab hi dushman se dosti ki ki shakl ab hai ye zindagi ki labon pe chakki hai jaan-kani ki pade hain behosh nim-jaan se kaha kuchh us ne yahan kisi se ye baat qasid nahin hansi se guman hota hai aur hi se tere ulajhte hue bayan se 'nizam' kyun tu ne us ko chaha ye dil mein kya thi jo dil lagaya jo dewe taufiq kuchh bhi maula to ab na milna kabhi butan se