samundaron mein sarab aur khushkiyon mein girdab dekhta hai wo jagte aur rah chalte ajab ajab khwab dekhta hai kabhi to rishton ko khun ke bhi fareb-e-wahm-o-guman samjha kabhi wo narghe mein dushmanon ke hujum-e-ahbab dekhta hai shanawari ras aae aisi samundaron mein hi ghar bana le kabhi talash-e-guhar mein apne tain wo gharqab dekhta hai kabhi taqaddus-e-tawaf ka sa kare hai tari wo jism o jaan par saron pe girta hua kabhi lanaton ka mizab dekhta hai