ye rahguzar to kisi rahguzar ka dhoka hai ki umr bhar ka safar bhi safar ka dhoka hai khabar ki raushni ab raushni nahin karti so ho na ho ye khabar bhi khabar ka dhoka hai yahan to hadd-e-nazar tak hai ek virani mere guman ye tujhe kis nagar ka dhoka hai dikhai bhi to kahin de wo dhup aane par shajar wo hai ki hamin ko shajar ka dhoka hai isi liye to ye sahra aziz hai ki yahan na shor-e-shahr-e-bala hai na ghar ka dhoka hai badalti jati hai duniya kuchh is tarah 'khalid' ki jo nazar mein hai samjho nazar ka dhoka hai