gae waqt par na ho tabsira jo guzar gaya wo guzar gaya

gae waqt par na ho tabsira jo guzar gaya wo guzar gaya
wo bhi shad hai mujhe bhul kar main bhi waqt rahte sanwar gaya

use dil se kaise nikalun main jo hai aa ke dil mein thahar gaya
use bhulne ke khayal se koi dar sa dil mein utar gaya

wo nigah mujh se badal gaya jise main ne dil mein basaya tha
mere dil ko jis ka yaqin tha wo hi wada kar ke mukar gaya

mere dil pe ab jo ye ghaw hain ye tera karam hai mere sanam
teri mujh pe hain ye inayaten jo ujad ye dil ka nagar gaya

dil-e-mubtala use bhul ja na tadap tu us ke firaq mein
wo na aaega kabhi laut kar jo jala ke sapnon ka ghar gaya

nahin ho saka kisi taur bhi mere zakhm-e-dil ka ilaj phir
dil-e-na-tawan tere kuche mein mujhe le ke sham-o-sahar gaya

kisi sang-dil se laga ke dil badi bhul ki badi bhul ki
lagi chot aisi main kya kahun mere dil ka shisha bikhar gaya

mujhe ye bata de tu saqiya jise mai-kade se gurez tha
teri mast aankhon mein wo 'qamar' ye bata ki kaise utar gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close