nahin kuchh bhi karne se baz aa gaya kya

nahin kuchh bhi karne se baz aa gaya kya
ye dil apni fursat se ukta gaya kya

koi mujh asir-e-hawas ko ye puchhe
sukun mil gaya kya qarar aa gaya kya

wo jis baat par tum ne parkhi hai duniya
kabhi khud ko bhi aazmaya gaya kya

hai chup chup sa kyon bazm-e-yaran ka aalam
jo kahna nahin wo bola gaya kya

tere sath rah kar bhi auron ke the hum
khayal aur kuchh tha pe socha gaya kya

har ek baat par itni qasmen na khao
tumhaara koi jhut pakda gaya kya

'amar' la-ubaali tabiat ka malik
khud apne taghaful se mara gaya kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close