gai chhanw us tegh ki sar se jab ki

gai chhanw us tegh ki sar se jab ki
jale dhup mein yan talak hum ki tab ki

padi khirman-e-gul pe bijli si aakhir
mere khush-nigah ki nigah ek ghazab ki

koi baat nikle hai dushwar munh se
tak ek to bhi to sun kisi jaan-ba-lab ki

tu shamla jo rakhta hai khar hai wagarna
zarurat hai kya shaikh dam ek wajab ki

yakayak bhi aa sar pe wamandgan ke
bahut dekhte hain teri rah kab ki

dimagh-o-jigar dil mukhalif hue hain
hui muttafiq ab idhar rae sab ki

tujhe kyunke dhundun ki sote hi guzri
teri rah mein apne piye talab ki

dil arsh se guzre hai zoaf mein bhi
ye zor-awari dekho zari-e-shab ki

ajab kuchh hai gar 'mir' aawe mayassar
gulabi sharab aur ghazal apne dhab ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close