silsile tod gaya wo sabhi jate jate warna itne to marasim the ki aate jate shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha apne hisse ki koi shama jalate jate kitna aasan tha tere hijr mein marna jaanan phir bhi ek umr lagi jaan se jate jate jashn-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi pa-ba-jaulan hi sahi nachte gate jate is ki wo jaane use pas-e-wafa tha ki na tha tum 'faraaz' apni taraf se to nibhate jate