gain yaron se wo agli mulaqaton ki sab rasmen pada jis din se dil bas mein tere aur dil ke hum bas mein kabhi milna kabhi rahna alag manind mizhgan ke tamasha kaj-sirishton ka hai kuchh ikhlas ke bas mein tawaqqo kya ho jine ki tere bimar-e-hijran ke na jumbish nabz mein jis ki na garmi jis ke malmas mein dikhae chira-dasti aah baaladast gar apni to mare hath daman-e-qayamat charkh-e-atlas mein jo hai gosha-nashin tere khayal-e-mast-e-abru mein wo hai bait-us-sanam mein bhi to hai baitul-muqaddas mein kare lab-ashna harf-e-shikayat se kahan ye dam tere mahzun-e-be-dam mein tere maftun-e-bekas mein hawa-e-ku-e-jaanan le ude us ko tajjub kya tan-e-laghar mein hai jaan is tarah jis tarah bu khas mein mujhe ho kis tarah qaul-o-qasam ka e'tibar un ke hazaron de chuke wo qaul lakhon kha chuke qasmen hue sab jama mazmun 'zauq' diwan-e-do-alam ke hawas-e-khamsa hain insan ke wo band-e-mukhammas mein