main is se pahle ki bikhrun idhar udhar ho jaun mujhe sambhaal le mumkin hai dar-ba-dar ho jaun ye aab-o-tab jo mujh mein hai sab usi se hai agar wo chhod de mujh ko to main khandar ho jaun meri madad se khujuron ki fasl pakne lage main chahta hun ki sahra ki dopahar ho jaun main aas-pas ke mausam se hun tar-o-taza main apne jhund se niklun to be-samar ho jaun badi ajib si hiddat hai us ki yaadon mein agar main chhu lun pasine se tar-ba-tar ho jaun main kachchi mitti ki surat hun tere hathon mein mujhe tu dhaal de aise ki mo'atabar ho jaun bachi-khuchi hui sanson ke sath pahunchana suno hawao agar main shikasta-par ho jaun