gale lagaen karen pyar tum ko eid ke din idhar to aao mere gul-ezar eid ke din ghazab ka husn hai aaraishen qayamat ki ayan hai qudrat-e-parwardigar eid ke din sambhal saki na tabiat kisi tarah meri raha na dil pe mujhe ikhtiyar eid ke din wo sal bhar se kudurat bhari jo thi dil mein wo dur ho gai bas ek bar eid ke din laga liya unhen sine se josh-e-ulfat mein gharaz ki aa hi gaya mujh ko pyar eid ke din kahin hai naghma-e-bulbul kahin hai khanda-e-gul ayan hai josh-e-shabab-e-bahaar eid ke din siwayyan dudh shakar mewa sab muhayya hai magar ye sab hai mujhe nagawar eid ke din mile agar lab-e-shirin ka tere ek bosa to lutf ho mujhe albatta yar eid ke din