gham-e-dil hita-e-tahrir mein aata hi nahin jo kinaron mein simat jae wo dariya hi nahin os ki bundon mein bikhra hua manzar jaise sab ka is daur mein ye haal hai mera hi nahin barq kyun un ko jalane pe kamar-basta hai main to chhanw mein kisi ped ki baitha hi nahin ek kiran tham ke main dhup-nagar tak pahuncha kaun sa arsh hai jis ka koi zina hi nahin koi bhula hua chehra nazar aae shayad aaina ghaur se tu ne kabhi dekha hi nahin bojh lamhon ka har ek sar pe uthae guzra koi is shahr mein sustane ko thahra hi nahin saya kyun jal ke hua khak tujhe kya malum tu kabhi aag ke dariyaon mein utra hi nahin moti kya kya na pare hain tah-e-dariya lekin barf lahron ki koi todne wala hi nahin is ke pardon pe munaqqash teri aawaz bhi hai khana-e-dil mein faqat tera sarapa hi nahin hail-e-rah the kitne hi hawa ke parbat to wo baadal ki mere shahr se guzra hi nahin yaad ke daere kyun phailte jate hain 'shakeb' us ne talab mein kankar abhi phenka hi nahin