gale se der talak lag ke roen abr-o-sahab hata diye hain zaman-o-makan ke hum ne hijab lahad ki mitti ki taqdir ki aman main dun safed latthe mein kafna ke surkh shakh-e-gulab main aasman tere jism pe bichha deta magar ye nil mein chadar bani nahin kamkhab tera wo raaton ko uth kar sisak sisak rona lahu mein nind ki tisen palak pe ijz ke khwab tere jalae diyon mein bhadakti aag ka pher zamin ki rehl pe rakkhe na raushni ki kitab hawa bahisht ke baghon ki zulf zulf phire teri lahad tere baalin ke gard ju-e-sharab kaman khinch zamane ki su-e-sina-zanan ai farq-e-naz gale se utar tauq-e-ghayab main ek yakh-zada mathe ko chum kar dam-e-subh teri zaminon se guzrunga ai jahan-e-kharab mashaqqati hain tere kakh-o-ku-e-hijr ke hum ai kar-khana-e-aflak-o-khak-o-ab-o-sarab ye tang-o-tar-gadha nur se bhare 'amir' sada rahe tere hujre mein haala-e-mahtab