waqt se hum gila nahin karte kaam koi bura nahin karte ashk bhi hon rukh-e-tabassum par zindagi yun jiya nahin karte husn walo zara batao na kyun kisi se wafa nahin karte kuchh to pate hi honge parwane be-wajah hi jala nahin karte dil hai yara koi makan nahin har kisi ko diya nahin karte ishq ki ibtida hai tum se agar mujh pe kyun intiha nahin karte muskurana to bhul hi jao ashk bhi ab baha nahin karte tum ko aasan hai bhula dena hum magar ye kiya nahin karte ashk pine ki lat lagi ho jinhen jam-e-farhat piya nahin karte jin ke dil mein junun-o-ulfat ho shauq-e-khanda rakha nahin karte mah-e-kaamil ho tum ho aur mein hun ye nazare dikha nahin karte main bura hun magar anokha hun mere jaise mila nahin karte khas hoti hain baaten kuchh apni sab se sab kuchh kaha nahin karte dard ne sab sikha diya hai 'safir' warna hum to likha nahin karte