koi khushi na koi ranj mustaqil hoga fana ke rang se har rang muttasil hoga ajab hai ishq ajab-tar hain khwahishen is ki kabhi kabhi to bichhadne talak ko dil hoga badan mein ho to gila kya tamash-bini ka yahan to roz tamasha-o-ab-o-gil hoga abhi to aur bhi chehre tumhein pukarenge abhi wo aur bhi chehron mein muntaqil hoga ziyan mazid hai asbab dhundhte rahna hua hai jo wo na hone pe mushtamil hoga tamam-raat bhatakta phira hai sadkon par hui hai subh abhi shahr muzmahil hoga