gali mein bakht ke un ka bhi kuchh qissa nikal aaya hui thi sulh kis mushkil se phir jhagda nikal aaya main apne shor ke sadqe ki dekha aaj to us ko bhara ghusse mein ghar se shokh be-parwa nikal aaya nadamat jo hui den galiyan afsana-goyon ko wo sunte the kahani zikr kuchh mera nikal aaya kisi ka ghar nahin ye to gali hai soch o zalim ghar ukta kis liye hai bhul kar is ja nikal aaya meri taqdir badli zoaf se aawaz kya badli wo apne dil mein dushman ki sada samjha nikal aaya jo sach puchho to sadqe mein tumhaare aks aariz ke kanwal phule dilon ke rang ghunchon ka nikal aaya 'nasim' un ko jo apna jazb-e-khatir is taraf laya gale mil mil ke roe hausla dil ka nikal aaya