tum ko agar hamari mohabbat nahin rahi hum ko bhi ab adu se adawat nahin rahi har ek ada pe marne ki aadat nahin rahi wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi mazmun-e-muddaa abhi dil mein hi tha mere kahte hain ab to tab-e-samaat nahin rahi wan hai wahi wufur-e-itab-o-jafa-o-qahr yan naz bhi uthane ki taqat nahin rahi be-shak naqab-e-rukh se uthaya kisi ne aaj zulmat-kade mein mere jo zulmat nahin rahi 'mushtaq' tere ishq ki hai dhum aaj-kal ab qais-o-kohkan ki wo shohrat nahin rahi