hai hai koi dil dene ke qabil nahin milta

hai hai koi dil dene ke qabil nahin milta
arman tadapte hain ki qatil nahin milta

ho aql to ho til ki jagah aankh mein laili
jhak qais ki hai sahib-e-mahmil nahin milta

gul ki tere rukhsar se rangat nahin milti
nale se mere shor-e-anadil nahin milta

apna bhi to milta nahin dil mujh se phir ai yar
kis munh se kahun tujh se tera dil nahin milta

bosa nahin dete hain shab-e-wasl mein bhi aap
mazrua-e-umid ka hasil nahin milta

milta nahin aariz se tere mehr-e-darakhshan
peshani se teri mah-e-kaamil nahin milta

chamke na 'waqar' aage rukh-e-yar ke khurshid
samjhe rahe haq se kabhi baatil nahin milta

yarab tamkin dahr mein qatil nahin milta
phike kisi dilbar se mera dil nahin milta

wo ishq ka dariya hai ki ilyas ko jis ka
kahne ko pae nam bhi sahil nahin milta

maujud hai filfil mujhe gham is ka nahin hai
gar dekhne ko rukh ka tere til nahin milta

mashq-e-sitam-o-jor ka chaurang hun is se
aashiq koi mujh sa unhen be-dil nahin milta

ashaar 'waqar' aisi ghazal main kahun kya khak
mushkil to ye hai qafiya mushkil nahin milta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close