gar apne aap mein insan badhta ja raha hai to phir kyun is qadar bohran badhta ja raha hai simatta ja raha hai daera malik makan ka makan par qabza-e-mehman badhta ja raha hai mujhe lagta hai sahra ki taraf jaana padega dar-o-diwar ka ehsan badhta ja raha hai bahut din ho gae roya na apne haal pe shahr dilon mein khitta-e-viran badhta ja raha hai bahut sa husn pahli bar dekha hai kisi ne tu us ki hi taraf hairan badhta ja raha hai badan khali karo aur kashti-e-jaan ko bachao khatarnaki ka ye saman badhta ja raha hai numu karna suna hai jaan-daron ki sifat hai magar ye shahr to be-jaan badhta ja raha hai na jaane kitne bhukon ki kifalat ho rahi hai hawas-kari ka dastar-khwan badhta ja raha hai miyan 'ehsas-ji' kuchh shairi bhi karte rahiye ye mana aap ka diwan badhta ja raha hai