lahad aur hashr mein ye farq kam pae nahin jate yahan dhup aa nahin sakti wahan sae nahin jate kisi mahfil mein bhi aise chalan pae nahin jate ki bulwae hue mehman uthwae nahin jate zamin par paun rakhne de unhen ai naz-e-yaktai ki ab naqsh-e-qadam un ke kahin pae nahin jate tujhe ai dida-e-tar fikr kyun hai dil ke zakhmon ki ki be-shabnam ke bhi ye phul murjhae nahin jate junun walon ko kya samjhaoge ye wo zamana hai khirad wale khirad walon se samjhae nahin jate waqar-e-ishq yun bhi shama ki nazron mein kuchh kam hai patinge khud chale aate hain bulwae nahin jate fazilat hai ye insan ki wahan tak ja pahunchta hai farishte kya farishton ke jahan sae nahin jate bas itni baat par chhini gai hai rahbari hum se ki hum se karwan manzil pe lutwae nahin jate 'qamar' ki subh-e-furqat puchhiye suraj ki kirnon se sitare to gawahi ke liye aae nahin jate