gar ek raat guzar yan wo rashk-e-mah kare ajab nahin ki gada par karam jo shah kare dikhawe aaina kis munh se us ko munh apna ki aaftab ko jun sham-e-subh-gah kare muqabil aate hi yun khinch le hai dil wo shokh ki jaise kah-ruba jazb barg kah kare hawas-o-hosh ko chhod aap dil gaya us pas jab ahl-e-fauj hi mil jaen kya sipah kare sitam-shiar wafa-dushman aashna-bezar kaho to aise se kyunkar koi nibah kare kai tadapte hain aashiq kai sisakte hain is aarzu mein ki wo sang-dil nigah kare mohabbat aise ki 'bedar' sakht mushkil hai jo apni jaan se guzre wo us ki chah kare