gar isi tarah saj banaiyega mahshar aabaad kar dikhaiyega umr wadon hi mein ganwaiyega aaiyega bhi ya na aaiyega mehrban qadar jaaniye meri mujh sa mukhlis kahin na paiyega yahi qamat hai gar yahi raftar hashr barpa hi kar dikhaiyega yahi rona agar hai ai ankhiyon khan-e-marduman dubaiyega mah-ruyan kahan talak hum ko aatish-e-hijr mein jalaiyega zabt-e-girya na howega jun shama soz-e-dil gar tumhein sunaiyega husn jata hai khat ki aamad hai han hamein kyun na ab manaiyega mughtanim jaano hum se mukhlis ko dhundiyega to phir na paiyega ye na hoga ki yan se uth jawen aisi sau baaten gar sunaiyega ek do kya hazar se bhi hum nahin darte agar bulaiyega aaj jo ho so ho yahi hai azm tum ko har tarah le ke jaiyega jis ne 'bedar' dil liya mera ek din tujh ko bhi dikhaiyega