guzre hue lamhat ko ab dhund raha hun main apne muqaddar mein ghazab dhund raha hun sajde ka sabab jaan ke shirin hai pareshan farhad ne kah dala ke rab dhund raha hun wo hain ki nibhane bhi lage wasl ke aadab main hun ki taghaful ka sabab dhund raha hun zalim mujhe phir saikdon gham dene laga hai main zindagi mein ek khushi jab dhund raha hun kyun mujh ko sukhnawar kaho pagal na kaho tum har bazm mein jo bazm-e-adab dhund raha hun aazurda thi ghurbat mein mere dost ki hijrat kuchh main bhi pareshan hun arab dhund raha hun bas ek pata hi to mujhe yaad hai 'azhar' diwana hai kya tujh ko main kab dhund raha hun