gar ho na khafa to kah dun ji ki is dam tumhein yaad hai kisi ki jo samne ho kahe usi ki munh dekhi hai baat aarsi ki phulon ka kabhi na haar pahna baddhi jo padi teri chhadi ki gul-gir ne kat kar sar-e-shama parwane se shab kati jali ki tasbih mein bhi ho tar-e-zunnar khatir na shikasta kar kisi ki aaya shab-e-mah mein wo jo ta-farsh chadar hui gard chandni ki sayyaad kabhi tu zabh kar dal mud jaegi bad kya chhuri ki aaina barq mein hai lazim taswir khinche teri hansi ki tartib-e-kuhan ki waza ai 'arsh' hum ne diwan mein nai ki