ruh ko jagmagane ki koshish na ki zist ghaflat mein sari basar ho gai raat din ho gae sab ke sab raegan meri hasti kidhar se kidhar ho gai mujh ko aawaz dete rahe roz-o-shab tere lutf-o-karam mein ye aa pai kab tu nahin jab mila to hua ye ghazab har tamanna-e-dil dar-ba-dar ho gai tujh ko pana to yarab tha aasan bahut tujh ko pane ki koshish hi main ne na ki zindagi har qadam jaise ek bojh si meri sanson ki raftar par ho gai is kahani ki koi haqiqat nahin zindagani ki koi haqiqat nahin apne hone se wo ba-khabar ho gae tere hone ki jin ko khabar ho gai lab pe 'nilam' ke har dam yahi hai dua aise bandon mein rakhna use bhi sada jin pe teri inayat ka hai silsila teri rahmat ki jin par nazar ho gai