kabhi jo nikhat-e-zulf-e-nigar aai hai faza-e-murda-e-dil mein bahaar aai hai zarur teri gali se guzar hua hoga ki aaj baad-e-saba be-qarar aai hai koi dimagh tasawwur bhi jin ka kar na sake ye jaan-e-zar wo lamhe guzar aai hai tujhe kuchh us ki khabar bhi hai bhulne wale kisi ko yaad teri bar bar aai hai khuda-gawah ki un ke firaq mein 'kausar' jo sans aai hai wo sogwar aai hai