gar kahin us ko jalwa-gar dekha na gaya hum se aankh bhar dekha nala har chand hum ne gar dekha aah ab tak na kuchh asar dekha aaj kya ji mein aa gaya tere mutabassim ho jo idhar dekha aaine ko to munh dikhate ho kya hua hum ne bhi agar dekha dil-ruba aur bhi hain par zalim koi tujh sa na muft par dekha aur bhi sang-dil hua wo shokh tera ai aah bas asar dekha minnat o aajizi o zari o aah tere aage hazar kar dekha to bhi tu ne na ai mah-e-be-mehr nazar-e-rahm se idhar dekha sach hai 'bedar' wo hai aafat-e-jaan hum ne bhi qissa-mukhtasar dekha