garmi mere kyun na ho sukhan mein ek aag si phunk rahi hai tan mein wo rashk-e-gul aae gar pas-az-marg phula na samaun main kafan mein hushyari mein kab hai aisi lazzat jo kuchh hai maza diwana-pan mein khwari ka meri wo lutf samjhe kaamil ho jo aashiqi ke fan mein gardish jinhen misl-e-asiya hai daim unhen hai safar watan mein naseh main rafu ko tab kahun aah haalat ho jo kuchh bhi pairahan mein ai baad-e-khizan wo kya hue gul khak udne lagi hai kyun chaman mein betabi-e-dil kare hai ruswa kya jaiye us ki anjuman mein hai tera hi dhyan aur kuchh ab baqi nahin tere khasta-tan mein jald us ko dikha de shakl ai jaan rah jaegi warna man ki man mein ghar mein jo nahin wo yar 'jurat' ghabrae hai apni jaan tan mein hai ji mein ki khana kar ke viran ja baithiye ek ujad ban mein