gar khamushi se faeda ikhfa-e-haal hai khush hun ki meri baat samajhni muhaal hai kis ko sunaun hasrat-e-izhaar ka gila dil fard-e-jama-o-kharch zaban-ha-e-lal hai kis parde mein hai aaina-pardaz ai khuda rahmat ki uzr-khwah-e-lab-e-be-sawal hai hai hai khuda-na-khwasta wo aur dushmani ai shauq-e-munfail ye tujhe kya khayal hai mushkin libas-e-kaba ali ke qadam se jaan naf-e-zamin hai na ki naf-e-ghazal hai wahshat pe meri arsa-e-afaq tang tha dariya zamin ko araq-e-infial hai hasti ke mat fareb mein aa jaiyo 'asad' aalam tamam halqa-e-dam-e-khayal hai pahlu-tahi na kar gham-o-andoh se 'asad' dil waqf-e-dard kar ki faqiron ka mal hai