jalwa-e-arbab-e-duniya dekhiye swang hai ye bhi tamasha dekhiye sair ko utthe to hain wahshi mizaj bagh jate hain ki sahra dekhiye gar-che til hai us ke munh par khushnuma nahs hai kya ek tara dekhiye roiye jitna rulae hijr-e-yar ghar mein baithe sair-e-dariya dekhiye charkh-e-minai muafiq ho agar dur-daur-e-jam-e-sahba dekhiye ya-ilahi khair phir aae bahaar kya harara lae sauda dekhiye kal jo kuchh surat hui thi mit gai aur hi hai aaj naqsha dekhiye abruon mein phir girah padne lagi bal tabiat mein phir aaya dekhiye dardmand-e-chashm hain darman-talab dekhte bhi hain masiha dekhiye intizar-e-yar kahta hai yahi zindagi jab tak hai rasta dekhiye wasl sabit hai tafadil se magar kab wo aata hai zamana dekhiye kya bala-e-bad hai ye baad-e-khizan ho gai sab phul patta dekhiye bazm-e-na0-pursan mein qismat lai hai baithiye apni agar ja dekhiye 'bahr' agar chamka sitara aish ka laili-e-gardun ka mujra dekhiye