jate hai khanqah se waiz salam hai hum dair se chale sanam ab ram ram hai surat wo sanwli ki kanhayya ghulam hai mere sanam se khub-tar allah ka nam hai dar-pesh hai wo manzil-e-na-taqati hamein utthe jo ham-safar hai jo baithe maqam hai sayyaad hi bahaar ke parde mein bulbulo har ghuncha hai qafas rag-e-gul tar-e-ram hai kyun kar na meri yaad faramosh ho use samjha hai yar nang jise mera nam hai mera lahu chataega jab tak na tegh ko qatil ko dahne hath ka khana haram hai saqi se ho jo dil-shikani bhi to lutf hai tuta jo shisha meri baghal ka to jam hai fasl-e-bahaar baat ki baat is chaman mein hai aawaz-e-ghuncha rukhsat-e-gul ka payam hai masti tapak rahi hai yahan baal baal se tan mein lahu nahin ye mai-e-lal-fam hai tahrir-e-haal ki kise taqat hai nama-bar hai jaan honton par ye zabani payam hai wo mah-ru chhupa hai mahaq-e-hijab mein aashiq ke zindagi ka mahina tamam hai samjhe rahen bahut mere kam-maegi harif qatra wo hun ki aaj mera 'bahr' nam hai