ghair-e-tawakkul nahin chaara mujhe apne hi dam ka hai sahaara mujhe hirs-o-tama ne to duboya hi tha sabr-o-qanaat ne ubhaara mujhe jo wo kahe us ko saza-war hai chun-o-chara ka nahin yara mujhe be-adabon ki adab-amoziyan in ke bigadne ne sanwara mujhe koshish-e-be-sud mushawwash na kar qar na ban jae kinara mujhe zishti-e-pindar dilata hai yaad qissa-e-askandar-o-dara mujhe nang-e-muzillat se chhuda le gaya josh-e-hamiyyat ka harara mujhe auj-e-maali pe uda le gaya tausan-e-himmat ka tarara mujhe aah nahin rukhsat-e-ifsha-e-raaz qissa to malum hai sara mujhe fursat-e-auqat hai bas mughtanim ye nahin milne ki dobara mujhe