hasin jabin pe mere hont thartharane lage phir is ke baad mere hosh kab thikane lage main ret par bhi tarashun jo khal-o-khad us ke sitare parda karen chand munh chhupane lage ye aabshaar ye baadal ye jhil ka pani use sanwarne ko sab aaina dikhane lage kabhi jo chheda kisi ne bhi tazkira un ka shajar khamida hue phul muskurane lage unhon ne puchha na us ki koi zarurat thi hum apna haal dil-e-muztarib sunane lage mere labon ne faqat nam hi liya us ka parind us ki gali shahr tak batane lage main us ke pas jo baithun ulajh pade khushbu charagh ghure mujhe aur tilmilane lage wo dur aakhiri kursi pe baithe baithe mujhe dilasa dene lage hausla badhane lage ye jaan kar ki tera but pada hai mandir mein khuda-parast wahan ghantiyan bajaane lage main us ke shahr se aaya hun jaan kar itna tamam log mere raste sajaane lage jahan basera kiya panchhiyon ne tere liye hamein wo ghonsle pairon ke aastane lage ye husn ek hi saat mein ban gaya tha miyan khuda ko ishq banane mein kuchh zamane lage khumar dekha jo aankhon mein nind ka 'danish' zamin pe aa ke farishte use sulane lage