gar tujh ko hai yaqin-e-ijabat dua na mang yani baghair-e-yak-dil-e-be-muddaa na mang aata hai dagh-e-hasrat-e-dil ka shumar yaad mujh se mere gunah ka hisab ai khuda na mang ai aarzu shahid-e-wafa khun-baha na mang juz bahr-e-dast-o-bazu-e-qatil dua na mang barham hai bazm-e-ghuncha ba-yak-junbish-e-nashat kashana bas-ki tang hai ghafil hawa na mang main dur gard-e-arz-e-rusum-e-niyaz hun dushman samajh wale nigah-e-ashna na mang yak-bakht auj nazr-e-subuk-bari-e-'asad' sar par wabaal-e-saya-e-baal-e-huma na mang gustakhi-e-visal hai mashshata-e-niyaz yani dua ba-juz kham-e-zulf-e-dota na mang isa tilism husn taghaful hai zinhaar juz pusht chashm nuskha arz dawa na mang digar o dil khunin nafas