tere khayal se dilchaspiyan banate hain waraq pe dil ke chalo titliyan banate hain safar hayat ka behad hasin guzrega ana ko mar ke baisakhiyan banate hain main jaanta hun ye dariya nahin hai sahra hai to ret par hi chalo machhliyan banate hain utha hi li hai jo diwar tum ne aangan mein to bhai is mein chalo khidkiyan banate hain khulega is tarah qismat ka band darwaza jo kawishon ki agar chabiyan banate hain hamari rah mein hail hui hai jo 'khalid' usi chatan se ab sidhiyan banate hain