jhukna padta hai wo ghusse se jo tan jate hain aap hum ruthte hain aap hi man jate hain hon khushamad ki jo baaten to wo man jate hain kaam bigde hue baaton hi mein ban jate hain khub nibhti hai ki jab kuchh na rahe baat ka pas jis tarah taba ho hum waise hi ban jate hain meri hamdardi hai bulbul ko bachana ya-rab dam-e-sayyaad liye su-e-chaman jate hain tum raho ghairon mein ab sharm rakho ya na rakho hum hi is bazm se ai ahd-shikan jate hain the abhi to wo yahan kahte hain aur dhundhte hain khwab hum dekh ke diwane se ban jate hain is tarah phirti hain nazren teri hum se be-did chaukdi bharte hue jaise hiran jate hain un se matlab nikal aate hain sab aasani se khub lad-bhid ke jo aapas mein wo chhan jate hain hum gade jate hain kya kya na haya se dil mein dene jab ghair ko wo gor-o-kafan jate hain kyon kisi aur ka ghussa wo utaren hum par bich mein bol ke hum muft mein san jate hain jab bahaar aai wahi dasht wahi tum 'sabir' aap diwane hain jo su-e-watan jate hain