garche baadal pani barsata hua ghar ghar phira phir bhi barish ki dua karta raha ek sar-phira ek ummi ko mili apne hi dil mein kaenat aur main aalim talash-e-zat mein dar dar phira hum zamane se phire ye to baja hai sahibo us ko to lao jo hum se aashna ho kar phira us ki khush-fahmi ne kal bas mar hi dala hamein tujh ko dekha aur darwaze se chaara-gar phira aab wo aai jo chehre par adu ke baad-e-wasl aur pani wo jo meri aarzuon par phira