nazar nazar mein ada-e-jamal rakhte the hum ek shakhs ka kitna khayal rakhte the jabin pe aane na dete the ek shikan bhi kabhi agarche dil mein hazaron malal rakhte the khushi usi ki hamesha nazar mein rahti thi aur apni quwwat-e-gham bhi bahaal rakhte the bas ishtiyaq-e-takallum mein bar-ha hum log jawab dil mein zaban par sawal rakhte the usi se karte the hum roz o shab ka andaza zamin pe rah ke wo suraj ki chaal rakhte the junun ka jam mohabbat ki mai khirad ka khumar hamin the wo jo ye sare kamal rakhte the chhupa ke apni sisakti sulagti sochon se mohabbaton ke uruj o zawal rakhte the kuchh un ka husn bhi tha mawara misalon se kuchh apna ishq bhi hum be-misal rakhte the khata nahin jo khile phul rah-e-sarsar mein ye jurm hai ki wo fikr-e-maal rakhte the