garche qalam se kuchh na likhenge munh se kuchh nahin bolenge phir bhi julus-e-dar chala to sath hum us ke ho lenge waqt aaya to khun se apne dagh-e-nadamat dho lenge saya-e-zulf mein jagne wale saya-e-dar mein so lenge kaun se sahil par ye safine apna langar kholenge rukh pe hawa ke ho lenge to dariya dariya dolenge jin mallahon ko tufan se tund hawa ne par kiya kya ab sahil par aa kar wo apni naw dubo lenge jab bhi dasht-e-wafa mein raqs-e-abla-pa yan howega ahl-e-wafa us se pahle hi rah mein kante bo lenge lafzon se ehsas ka rishta jis lamhe tak qaem hai sachche samjho ya jhute kuchh moti hum bhi piro lenge nafsa-nafsi ke aalam mein kaun kisi ka hath batae apna apna bojh hai 'ishqi' fardan-fardan dho lenge