kaise banaun hath par taswir khwab ki mujh ko mili na aaj tak tabir khwab ki aankhon se nind ruth ke jaane kidhar gai katti nahin hai raat-bhar zanjir khwab ki jis shahr mein ho khwab churane ki wardat kaise karun wahan pe main tashhir khwab ki khwabon ne har qadam pe mujhe hausla diya dekhi nahin hai tum ne kya tasir khwab ki kab tak rahegi tirgi tere khayal mein raushan karegi us ko bhi tanwir khwab ki us din to mere khwabon ko pahchan jaoge jis din likhega koi bhi tafsir khwab ki khwabon ko hi 'iram' ne asasa bana liya rahne do mere pas ye jagir khwab ki