ye silsila-e-shokhi-e-jaanana naya hai irshad hua hai ki ye diwana naya hai matlab to hai is se ki hai mai kitni purani is se hamein kya kaam ki paimana naya hai aaina-e-tajdid hai tarikh-e-mohabbat jis daur mein bhi suniye ye afsana naya hai kis dhoke mein ho tum use kyon chhed rahe ho zanjir purani sahi diwana naya hai aata hai bahut der mein laghzish ka saliqa saqi se abhi shaikh ka yarana naya hai ai shama teri sozish-e-derina ki ho khair kuchh aaj mazaq-e-gham-e-parwana naya hai ek umr ke baad ab hua andaza-e-wahshat jab us ne kaha mera ye diwana naya hai ye dekh kar rindan-e-kuhan baithe hue hain gham kya hai jo saqi tera mai-khana naya hai ab dil ki jagah phul chadhate hain buton par is daur mein dastur-e-sanam-khana naya hai daman-e-tabassum mein hua jazb har aansu ab aalam-e-lutf-e-gham-e-jaanana naya hai karte hain salam aur bade andaz se 'jauhar' yaron ka mere tarz-e-harifana naya hai