us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki chahti hun ki sunun us se zabani us ki wo sitamgar hai to ab us se shikayat kaisi aur sitam karna bhi aadat hai purani us ki besh-qimat hai ye moti se meri palkon par chand aansu hain mere pas nishani us ki us jafa-kar ko malum nahin wo kya hai be-murawwat ko hai taswir dikhani us ki ek wo hai nazar-andaz kare hai mujh ko ek main hun ki dil o jaan se diwani us ki tum ko ulfat hai 'qamar' us se to ab kah dena samne sab ke suna dena kahani us ki